Friday, 5 October 2012

Haath haathon men jab tumhara tha



haath haathon men jab tumhara tha
khawaab woh zindagi sa pyara tha

mein nay dekhay thay khuwaab men aansoo
yeh bhi shayad koi ishara tha

jo abhi aasmaan sa toota hai!
woh meray bakht ka sitara tha

tum mujhay ghair hi samajh letay
mujh ko yeh bhi sitam gawara tha

ik qadam bhi barha nahin koi
mein nay kis aas say pukara tha

dar reha tha jo bheer say Aatif
uss ko tenhaiyoon nay maara tha

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets