Friday, 5 October 2012

Kis liye ab udaas bethi ho?





"Kis liye ab udas bethi ho"

Jab wo ik shakhs dastras men tha

us say milna tumharay bus men tha

us ki aankhain tumhari aankhain thiin

us ki baatain tumhari baatain thiin

us ka chehra tumhara chehra tha

us k dil per tumhara pehra tha

us ki her saans men basi thiin tum

us k her lafz men khili thiin tum

us k sapnon men bhi rachi thiin tum

us ki neendoon men jaagti thiin tum

wo jo kehta tha bay-qarari hai

meri sari wafa tumhari hai

sirf tum say mujhay muhabbat hai

sirf tum say meri haqiqat hai

kitni baatain mein keh naheen sakta

door tum say mein reh naheen sakta

tab tum us k her aik jumlay ko

tab tum us k her aik jazbay ko

ik hansi men urraya karti thiin

sun k tum bhool jaya kerti thiin

us ki aankhon dekhti jab wo

bay-niyazi k dard sehta tha

bhool jana tumhari aadat thi

phir bhi kitna malool rehta tha

apni tanhaaii k galay lag ker

saaray aansoo wo ro gaya ik din

aik pathar say dil lagi ker k

khud bhi pathar ka ho gaya ik din

ab wo tum say tou kuchh naheen kehta

bay-nayazi k dukh naheen sehta

us ki aankhain ab us ki aankhain hain

us ki baatain ab us ki baatain hain

bhool jana tumhari a'adat hai

us ki baatoon ko bhool jaoo na!!

ab wo ik shakhs dastras men naheen

us say milna tumharay bus men naheen

kis liye ab udaas bethi ho?

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets