Raat kat'ti rahi chand dhalta raha
aatish-e-hijar main koi jalta raha

ghar ki tanhaiyan dil ko dasti rahin
koi baychain karvat badalta raha

aas-o-umeed ki shama roshan rahi
ghar ki dehleez koi takta raha

ashk palkon py aa k ruktay rahay
naam lab pay kisi ka larazta raha

aj phir raat basar ho gai
aj phir koi KHUDA say ulajhta raha