Monday 7 November 2011

kis ko raas aaya hai itni dair tak ka jaagna

                               


vehshatain bikhri parri hain jis taraf bhi jaaun mein
ghoom phir aaya hoon apna shehar tera gaaon mein


kis ko raas aaya hai itni dair tak ka jaagna
woh jo mil jaaey to us ko bhi samjhaaun mein

ab to aankhon men utar aaii hain dil ki vehshatain
aaina dekhoon to apnay aap say darr jaaun

kuch bata ay maatmi raaton ki dhundli chaandni
bhoolnay walon ko aakhir kis terha yaad aaun mein?

ab kahan woh dil keh sehraa men behalta he na tha
ab to apnay ghar ki tanhai say bhi ghabraaun men

yaad kar kay teray loat aanay kay waadon ki gharri
khud ko ik masoom bachay ki terha behlaaun mein

meray khavabon nay taraasha tha tera ujla badan
aa tujhay ab fikr ki poshak bhi pehnaaun mein 


                       kis liay mohsin kisi baymehar ko apna kahun
                   dil kay sheeshay ko kisi pathar say kyun takraaun mein



No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets