Friday 11 November 2011

main ney waada nibhaya hai



main ney waada nibhaya hai
liya tha aik waada tum ney mujh sey
hamaysha khush hi rehna hai, to dekho
dekh lo aa kar!!!
meri aankhon ko dekho tum
yeh kitni shokh lagti hain
meray hontoN ko dekho tum
hamesha muskuratay hain
koi bhi ghum agar aaya
ussey hans ker saha main ney
meray chehray ko dekho tum
hamesha pur sakoon ho ga
to phir socho gay...!!!
kiya tha jo wada main nay tum sey woh kar diya poora
magar ik baat phir bhi hai!!!
kabhi jo waqt mil jaaye
to meri shairi parhna
tumhain mehsoos to ho ga
kahin talkhi bhara jumla
kahin pay sard sa lehja
kahin pay dard ki jheelai'n
kahin lehjay ki karrwahat
suno...!!!
main khush to hoon lekin
"lahoo har lafz rota hai...!!!
lahoo har lafz rota hai...!!!"


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets