Thursday 10 November 2011

Samander Poochta Hai Ab Woh Dono Kiyun Nahi Aatay





Samander Poochta Hai Ab Woh Dono Kiyun Nahi Aatay 
Wohi Donon Jo Bheegi Rait Per 
Ek Doosray Ka Haath Thaamay Duur Tak 
Kabhi Hanstay,Kabhi Kuch Gungunatay 
Ya Kabhi Chup Chaap Baithay Duur Ufaq Ki Goad Men
Rooposh Honay Wala Sooraj Dekhtay 
Aansoo Bhahatay Loat Jaatay!


Samander Poochta Hai Ab Woh Donon Kiyun Nahi Aatay 
Jo Aatayy Thay To Apnay Saath Kitnay Khwab Laatay Thay 
Kabhi Sahil Say Dhairon Seepiyaan Chuntay Thay 
Nangay Paoon Pani Men Chalay Aatay Thay 
Bheegi Rait Say Nannhay Gharonday Bhi Banaatay Thay 
Aur Un men Seepiyan,Rangeen Say Kuch Sangraizay Yun Sajatay Thay 
Keh Jaisay Aaj Kay Jugnuon say Lamhay 
Aanay Walay Kal Ki Muuthi Men Chupaatay Thay! 


Samander Poochta Hai Ab Wo Donon Kiyun Nahi Aatay 
Mager Samander Nay Khizaan Ki Siskiyan Laiti Hui 
Ek Shaam us naujawan Ko Nahi Dekha 
Jo Dair Tak Tanha Sar'ey Sahil Raha Baitha 
Phir Uss nay Dhair Saarey Khat 
Buhat Say Phool Sookhay say Aur Tasveeren 
Aur Apnay Aakhri Aansoo 
Samander Kay Hawalay Kar diay..




No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets