Jab shab k shikasta zeeno“n say
Mehtaab ubharney lagta hai
Jab gham k sard alao mein
Umeedein bujhnay lagti hain
Jab dil k shorida samandar mein
Awazein marnay lagti hain
Jab mausam hath nahi aatey
Jab titli baat nahi karti
Jab zinda rehna ik be-mani
Kaam dikhayi deta hai
Jab aaney wala har lamha
Dushman dikhayi deta hai
Jab yaad k gehrey sannatey mein
Chehray gum ho jatey hain
Jab dard sey bojhal aankhon mein
Gardaab sey parrnay lagtey hain
Jab shammein gul ho jati hain
Jab khawab bikharnay lagtey hain
Uss waqt ager tum aa jao.
No comments:
Post a Comment