larazti palkon pe jhilmilatay huway sitaaray sanbhaal rakhna
mohabbaton k ye phool saaray, ye sab sharaaray sanbhaal rakhna
faraaq mausam main hosla dain gay chaahaton ka yaqeen ban kar
tum us ki saari nishaaniyan aur khutoot saaray sanbhal rakhna
wo zindagi ki naveed lay ker utarti subhain, haseen shaamain!
wo dhoop chhaaon k saaray mausam wo sab nazaaray sanbhal rakhna
kaheen koi maang lay na tum se hisaab beetay huway dinon ka
so dil main jitnay bhi zakhm hain un k goshwaaray sanbhal rakhna

No comments:
Post a Comment