Friday, 16 September 2011

Nigah-e-yaar kay pardon main hay pinhaan adaa kaisi


Nigah-e-yaar kay pardon main hay pinhaan adaa kaisi
Sitam kaisa, karam kaisa, jafaa kaisi, wafaa kaisi




Ye jo toofan samandar hain, ye sab hasti kay manzar hain
Agar qismat main jalna ho, dawaa kaisi, duaa kaisi




Sunay ga kon ab mujh say, tairay behroop kay qissay?
Mujhay bhi maar kay kar day, karam ki yeh intehaa kaisi




Agar dil haar hi baithay mairay hamdam mohabbat main
Fanaa kaisi, baqaa kaisi, jazaa kaisi, sazaa kaisi




Bahot muddat hum apnay muqaabil say nahi haaray
Bula lay hum bhi dekhain gay, kay hai shaam-e-qazaa kaisi?

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets