hum khwaabo`N k beyoparii thay per is mien howa nuQsan bohat
kuch bakht mien dhairo`N kaalak thee, kuch ab k ghazab ka kaal para
hum raakh liye jholii mien aur sarr pe saahu-kaar khara
jab dhartii sehra sehra thee, hum darya darya roye thayy
jab haath kii rehkhaayeN chup theeN aur suR sangeet mein khoye thayy
tub hum ne jeevan khetii mien kuch khwaab anokhay boye thayy
kuch khwaab sajal muskano`N k
kuch bol bohat deewanon k
kuch lafz jinhen maani na milay
kuch geet shikasta jaaNon k
phir apnii ghayal ankho`N se khush ho k lahu chhirkaya tha
mati mien maas khaad bharrii aur nus nus ko zakhmaya tha
aur bhool gaye pichlee rutt mein kia khoya tha kia payaa tha
har baar gagan ne wehm dya ab k barkha jab aye gii
phir beejh se konpal phootay gii aur har konpal phal laaye gii
sar pe chhaya chatrii ho gii aur dhoop ghatta bun jaye gii
jab fasal katti tu kia dekha kuch dard k tootay gajray thayy
kuch zakhmii khwaab thay kanto`N per, kuch khaakster se gajray thayy
ab paoN kharao`N dhool bharri aur jism pe jog ka chola haii
sub sangii saathii bhaid bharrayy, koii masha hai koii tola haii
ab ghaat na ghar, dehleez na darr
ab pas raha hai kia baba
bus tun ki gathrri baQii haii ja yeh bhee tu le ja baba
hum bastii chhoray jate hien tu apna Qarz chuka baba ..

No comments:
Post a Comment