Friday 16 September 2011

ussay kehna!

ussay kehna!
abhi tak dil dharkta hai
abhi tak saans chalti hai
abhi tak yeh meri ankhain
suhaany khwaab bunti hain
meray honton ki junbish main
tumhara naam rehta hai
abhi baarish ki bondon main
tumhara pyar baqi hai
ussay yeh bhi bata dena
abhi izhaar baqi hai
abhi yadon k kaanton say
mera daman ulajhta hai
tumhara pyar seenay main
kahin ab bhi dharkta hai
hawa ab bhi muwafiq hai
hamaray saath chalti hai
ussay kehna!
judayi ka abhi mausum nahi aaya
mohabbat ki kahaani main
kahin par gham nahi aaya
magar sub kuch badalnay main
bhala kia dair lagti hai
kisi ki yaad dhalnay main
bhal kia dair lagti hai
naya suraj nikalnay main
bhala kia dair lagti hai
ussay kehna!
woh jaldi faisla karlay
nayay raston pay chalnay main
BHALA KIA DAIR LAGTI HAI

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets