jamay gi kaisay bisaat-e-yaraan keh sheesha-o-jaam bujh gaye hain
sajay gi kaisay shab-e-nigaraan keh dil sar-e-shaam bujh gaye hain
wo teergi hai rah-e-butaan main, chiragh-e-rukh na shaam-e-wa’da
kiran koi aarzoo ki laoo keh sub dar-o-baam bujh gaye hain
buhat sambhala wafa ka paimaan, magar wo barsi hai ab kay barkha
har aik iqraar mit gaya hai, tamam paigham bujh gaye hain
qareeb aa ay mah-e-shab-e-gham, nazar pay khulta nahin kuch is dum
keh dil pay kis kis ka naqsh baqi hai, kaun say naam bujh gaye hain
bahar ab aa kay kaya karay gi keh jin say tha jashn rang-o-naghma
wo gul sar-e-shakh jal gaye hain, wo dil tah-e-daam bujh gaye hain
No comments:
Post a Comment