khayalon sey nikalnay ka koi mosam nahi hota
keh manzar badalnay ka koi mosam nahi hota
shikasta dil hamaysha sey bohot bechain hotey hain
shikasta dil behelaaney ka koi mosam nahi hota
sitaron per yakeen rakhna bohot acha nahi hota
sitaraon k badalny ka koi mosam nahi hota
naya mosam utartey hi parindy ghar badaltay hain
mager chehray badalny ka koi mosam nahi hota
jahan paaon barhaany sey zameen agey sirakti ho
wahan girnay sambhlnay ka koi mosam nahi hota
mohab'bt mosamon ki qaid sey azaad hoti hai
suno sooraj nikalnay ka koi mosam nahi hota
nigahen to zarrorat k taqazon per badalti hain
nigahon k badalny ka koi mosam nhai hota
No comments:
Post a Comment