kooey-e-wafa sey hum hazar bar guzer kay aa'ay
magar koi sada-e-shanasa bhi na aa'ee kaheeN say
MohabbatoN meiN woh jo daawa ger tha,
Taa ab'ad intezar ki shama jala'ay rakhnay ka,
Woh kaheeN nazar nahiN aaya
(mohabbatoN ka bhed humen to ab tak samajh nahiN aaya )
Akhiri moRR muRnay tak hum muntazir thay
Koi daaman thaam lay hamara
Koi shama shayad jali ho kaheeN,
Us gali say guzer aa'ay
Nakam-o-dilgirifta her bar
Mohabbat ko talashtay rahay
Magar
Tishna lab-o-nakamran
aur jub nikalnay lagay koochay say
to ik sada-e-na aashna aa'ee,
Nadan na'samajh!
Matt talash ker usay yahaN ab!
Sheher-e-mohabbat meiN kooey-e-wafa,
KaheeN nahiN hai,
pehlay hota tha kabhi!
Ab nahiN hai !!!
No comments:
Post a Comment