Sunday 13 November 2011

Woh janti thi keh wafa ka ajar nahi hota


Woh janti thi keh wafa ka ajar nahi hota
Muhabbaton main sabar ka samar nahi hota
Woh janti thi
Muhabbat dukhon ka sehra hai
Jahan saraab si khushiyan hain
Aur azaab say gham
Jahan hai pyaas judaii ki be'tahasha magar
Millan ki barishen hoti hain jis dayaar main kam
Wo janti thi
Muhabbat khiraaj mangti hai
Wo jis ko dil ka lahoo day kay jagmagaya ho
Andheri raah kay liye wo cheragh mangti hai
Wo janti thi
Muhabbat wo reh'guzar hai jahan
Bichay hain kanch judaii kay be'shumar magar
Barahna'pa hi inhen paar karna paRta hai
Ghamon ki dhoop main jab sayebaan koi na ho
Kisi yaad ki chaadar ko taan kar khud par
Tammam aahein daba kar guzarna paRta hai
Wo janti thi keh wafa ka ajar nahi hota
Mohabbat main sabar ka samar nahi hota
Hij'r ki raah main hoti hai be'tahasha ghutan
Wahan kabhi bhi hawa ka guzar nahi hota
Wo janti thi phir bhi rog lay bethi
Kisi kay pyaar main na jaanay kyun jog lay bethi



No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets