Wednesday, 5 September 2012

Aye IshQ Hamen Barbaad Na Kar


Aye IshQ Na Chhed Aa Aa K Hamen,
Hum Bhuuley Huwon Ko Yaad Na Kar,
Pehley Hi Bohat Na'shaad Hain Hum,
Tu Aur Hamen Na'shaad Na Kar,
Qismat Ka Sitam Hi Kam Nahi Kuch,
Yeh Taaza Sitam Ijaad Na Kar,
Aye IshQ Hamen Barbaad Na Kar,

Jis Din sey Miley, Hain Dono Ka
Sab Chain Gaya Aaram Gaya,
Chehron Sey Bahaar-E-Subah Gayi,
Aankhon Sey Farogh-E-Shaam Gaya,
Hathon sey Khushi Ka Jaam Chhuuta,
Hothon sey Hansi Ka Naam Gaya,
Ghamgeen Na Bana Naashaad Na Kar,
Aye IshQ Hamen Barbaad Na Kar,

Raaton Ko Uth Uth Kar Rotey Hain,
Ro Ro Kar Duaayen Kartey Hain,
Aankhon Men Tasavvur Dil Men Khalish,
Sar Dhuntey Hain Aahein Bhartey Hai,
Aye IshQ Yeh Kaisa Rog Laga,
Jeetey Hain Na Zaalim Martey Hain,
Aye IshQ Hamen Barbaad Na Kar,

Yeh Rog Laga Hai Jab Sey Hamein,
Ranjeeda Huun Main Beemar Hain Woh,
Har WaQt Tapish Har WaQt Khalish,
Be'Khwaab Huun Main Be'daar Hai Woh,
Jeeney Sey Idhar Be'zaar Hoon Main,
Marney Pey Udhar Taiyaar Hai Woh,
Aur Zabt Kahey Faryaad Na Kar,
Aye IshQ Hamen Barbaad Na Kar,

Be'dard Zara Insaaf To Kar,
Is Umr Men Aur Maghmoon Hai Woh,
Phoolon Ki Tarah Nazuk Hai Abhi,
Taaron Ki Tarah Masoom Hai Woh,
Yeh Husn Sitam Yeh Ranj Ghazab,
Majboor Hoon Main Mazluum Hai Woh,
Mazluum Pey Yuun Be'daad Na Kar,
Aye IshQ Hamen Barbaad Na Kar,

Aye IshQ Khuda Raa Dekh Kahin,
Wo Shokh Haseen Badnaam Na Ho,
Wo Maah-E-LaQaa Badnaam Na Ho,
Wo Zohra-Jabeen Badnaam Na Ho,
Naamuus Ka Usko Paas Rahe,
Wo Parda-Nasheen Badnaam Na Ho,
Us Parda-Nasheen Ko Yaad Na Kar,
Aye IshQ Hamen Barbaad Na Kar,

Ummiid Ki Jhuuti Jannat Ki,
Reh Reh K Na Dikha Khwab Hamen,
Aayinda Ki Farzi Ishrat K,
Waadey Sey Na Kar Be'taab Hamen,
Kehta Hai Zamana Jis Ko Khushi,
Aati Hai Nazar Kaamyab Hamen,
Chhorr Aisi Khushi Ko Yaad Na Kar,
Aye IshQ Hamen Barbaad Na Kar,

Do Din Hi Mn Ehad-E-Tifali K
Masoom Zamaney Bhuul Gaye,
Aankhon Sey Wo Khushiyaan Mit Si Gayiin,
Lab K Woh Taraaney Bhool Gaye,
Un Paak Bahishti Khwabon K,
Dilchasp Fasaaney Bhool Gaye,
Un Khwabon Sey Yun Azaad Na Kar,
Aye IshQ Hamen Barbaad Na Kar,

Aankhon Ko Yeh Kaya Aazaar Hua,
Har Jazb-E-Nihaan Par Ro Dena,
Aahang-E-Tarab Pey Jhuk Jaana,
Aawaz-E-Fughaan Par Ro Dena,
Barbat Ki Sadaa Par Ro Dena,
Mutrib K Bayan Par Ro Dena,
Ehsaas Ko Gham Buniyaad Na Kar,
Aye IshQ Hamen Barbaad Na Kar,

Jee Chahta Hai Ek Duusrey Ko
Yun Aath Peher Hum YaadKarein,
Aankhon Men Basaye Khwabon Ko,
Aur Dil ko Khayal Abaad Karen,
Khilvat Men Bhi Ho Jalvat Ka Samaan,
Wahdat Ko Duii Sey Shaad Karein,
Yeh Aarzuyein Ijaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Woh Raaz Hai Yeh Gham Aah Jisey,
Paa Jaaye Koi To Khair Nahi,
Aankhon sey Jab Aansu Behtey Hain,
Aa Jaye Koi To Khair Nahi,
Zaalim Hai Yeh Duniya Dil ko
Yahan Bhaa Jaye Koi To Khair Nahi,
Hai Zulm Magar Faryaad Na Kar,
Aye IshQ Hamen Barbaad Na Kar,

Duniya Ka Tamasha Dekh Liya,
Ghamgeen Si Hai Be'taab Si Hai,
Ummid Yahan Ek Weham Si Hai,
Taskeen Yahan Ek Khwaab Si Hai,
Duniya Men Khushi Ka Naam Nahi,
Duniya Men Khushi Nayaab Si Hai,
Duniya Men Khushi Ko Yaad Na Kar,
Aye IshQ Hamen Barbaad Na Kar...

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets