tum nay dekhi hai woh khawabon ki rahguzar
jis ki manzil thi ujrra hua nagar
surmaee shaam thi jis kay chaaron taraf
jis men manzar judai kay thay saf ba saf
wasal ka sar'ba'kaf
bann gaya kirchiyan mann ka nazuk sadaf
tu nay dekhi hai khawabon ki woh rahguzar
sangraizon ki barish hui thi jahan
aur komal say jazbay hadaf bann gaye
paamali nay unko lahu kar diya
ba'wazu kar diya_ surkhruu kar diya
aaj bhi jo musafir gaya us taraf
us nay paaya nhi wapsi ka nishaan
us ko dhoonda falak nay yahan saywahan
tum nay dekhi hai khawabon ki woh rahguzar???
No comments:
Post a Comment