Mujh ko yeh batlaao zara
Yeh jo muhabbat hoti hay
Chhoonay men kaisi hoti hay?
Kaya iss men guftagu hoti hay?
Ya
Sirf badan ki khushboo sey makaalma rehta hay?
Ya
Iss men soch ki har karvat tak robaroo rahtii hay?
Kaya iss men rang bhi hotay hain?
Kaya iss men naqsh bhi hotay hain?
Ya
Sirf mubhim ishaaray daiti uljhi bikhri lakeerein hoti hain?
Yeh jo muhabbat hoti hay
Dekhnay men kaisi hoti hay?
Yeh jo muhabbat hoti hay
Kehnay men kaisi hoti hay?
Dil aur badan men say kaun bikharta hay? Kaun nikharta hay?
Kaun jalta hay? Kaun bujhta hay? Kaun sulagta hay?
Kaun thanak'taa hay? Rooh aur zehan men say
Kaun bojh uthaata hay? Kaun aazmayaa jaata hay?
Kaun rota hay? Kaun hansta hay?
Yeh jo muhabbat hoti hay
Yeh muhabbat kaisii hoti hay?
No comments:
Post a Comment