Friday 16 November 2012

Tum Aisa Karna Keh Koi Jugnoo Koi Sitara Sanbhaal Rakhna



Tum Aisa Karna Keh Koi Jugnoo Koi Sitara Sanbhaal Rakhna
Merey Andhero’n Ki Fikr Choro Bas Apney Ghar Ka Khayaal Rakhna
Ujaar Mosam Men Rait Dharti Pey Fasal Boi Thi Chaandni Ki
Ab Is Men Ugnay Lagay Andherey To Kaisa Jee Men Malaal Rakhna
Diyaar-e-Ulfat Men Ajnabi Ko Safar hai Darpesh Zulmato’n ka
Kahi’n Woh Raahon Men Kho Na Jaaye Zara Darechay Ujaal Rakhna
Wo Rasm-o-Raah Hee Nahi’n Rahey Jab To Naamay Kis Kaam K Tumharey
Udhar Sey Guzraa Kabhi To LooN Ga Merey Khato’N Ko Nikaal Rakhna
Bicharney Waley Ney Waqt-e-Rukhsat Kuch Is Nazar Sey Palat K Dekha
Keh Jaisey Woh Bhi Yeh Keh Raha Ho Tum Apney Ghar Ka Khayal Rakhna
Yeh Dhoop Chaao’n Ka Khel Hai Ya Khizaa’n Bahaaro’n Ki Ghaat Men Hai
Naseeb-e-Subh Urooj Ho To Nazar Men Shaam-e-Zawaal Rakhna
Kisay Khabar Thi Keh Kab Ye Mosam Uraa K Rakh Dey Ga Khaak "Aazar"
Tum Ehtiyatan Zamee’n K Sar Pey Falak Ki Chaadar Bhi Daal Rakhna

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets