Tuesday, 13 November 2012

Us ka chehra bhi sunaata hai kahani us ki

















Us ka chehra bhi sunaata hai kahani us ki..
Chaahti hoon keh sunoon us sey zubaani us ki..

Woh sitam’gar hai to ab us sey shikayat kesi,
Aur sitam karna bhi aadat purani us ki..

Besh-qeemat hain yeh moti sey meri palkon per,
Chan'd aansu hain merey pass nishani us ki..

Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kaya hai,
Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki..

Aik woh hai nazar andaaz karey hai mujh ko,
Aik mein hoon keh dil-o-jaan sey deewani us ki..

Tum ko ulfat hai Qamar us sey to ab keh dena,
Saamney sab k sunaa dena kahani us ki..


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets