Monday, 1 July 2013

Kaash badil ki tarha pyar ka saya hota


Kaash badil ki tarha pyar ka saya hota
Phir main din raat terey shehar pey chaya hota

Mujh si takhleeq ka ilzaam na aata tujh pr
Main agar naqsh e ghalat hoon, na bnaya hota

Khawab tootey they agar terey bhi meri hi trah
Bojh kuch teri bhi palkon ney uthaya hota

Lams haathon ka bhi kafi tha pighalney k liye
Mom ke but ko zameen pr na giraya hota

Raah men aag k darya sey guzarna tha agar
Tu ney khawabon ka jazeera na dikhaya hota

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets