jin ko duniya ki nigaahon sey chupaye rakha
jin ko ek umr kalejay sey lagaye rakha
deen jin ko, jinhen imaan banaye rakha

jin ka har lafz mujhey yaad tha paani ki tarah
yaad thay mujh ko jo paigam-e-zubani ki tarah
mujh ko pyare thay jo anmol nishani ki tarah

tu ney duniya ki nigaahon sey jo bacha ker likhey
saal-haa-saal merey naam baraabar likhey
kabi din mein to kabi raat mein uth ker likhey

teri khushbu mein basay khatt main jalata kaisey
pyar men doobey huey khatt main jalata kaisey
terey haathon k likhey khatt main jalata kaisey

terey khatt aaj main ganga men baha aaya huun
aag behtay huey paani mein laga aaya huun..