Wednesday, 18 April 2012

Kabhi iss nagar tujhey dekhna, kabhi us nagar tujhey dhoondna
































Kabhi iss nagar tujhey dekhna, kabhi us nagar tujhey dhoondna
Kabhi raat bhar tujhey sochna, kabhi raat bhar tujhey dhoondna

Mujhay ja-baja teri justaju, tujhey dhoondta hoon main kubaku
Kahan khul saka terey rubaru, mera iss qadar tujhey dhoondna

Mera khawab tha keh khayal tha, wo urooj tha keh zawaal tha
Kabhi farsh per tujhey dekhna, kabhi arsh pey tujhey dhoondna

Yahan har kisi sey hi bair hai, tera sheher qarya ghair hai
Yahan sehal bhi tou nahi koi, mera be khabar tujhey dhoondna

Teri yaad aaye tou ro diya, jo tu mil gaya tujhey kho diya
Merey silsilay bhi ajeeb hain, tujhey chhorr kar tujhey dhoondna

Meri nazar ka kamal hai, keh meri nazar ka jamal hai
Tujhey shair shair men sochna,sar-e-baam-o-dar tujhey dhoondna


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets