zindagi paaon na dhar janib e anjaam abhi
meray zimay hain adhoory say kaii kaam abhi
abhi taaza hai bohat ghao bicharr janay ka
ghair laiti hai teri yaad sar e shaam abhi
jaan dainay men karoon dair yeh mumkin hai kahaan
mujh tak aaya hai meri jaan tera paigham abhi
torr sakta hai mera dil yeh zamana kaisy
meray seeny men dharakta hai tera naam abhi
meri nazrain karen kaisay teray chehray ka tawaaf
meri aankhon nay baandhay abhi ehraam nahi
yaad k abr say aankhain meri bheegi hain adeem
ik dhundluka sa hai bheegi to nahi shaam abhi
No comments:
Post a Comment