Khud apney liye baith k sochain gay kisii din
yoon hai keh tujhey bhool k daikhain gay kisii din
bhatkay huvay phirtey hain ka_ii lafz jo dil men
duniyaa ney diyaa vaqt to likkhain gay kisii din
hil jaayain gay ik baar to arshon k dar-o-baam
yeh Khaak_nasheen log jo bolain gay kisii din
aapas kii kisii baat kaa miltaa hii nahin vaqt
har baar yeh kehtey hain keh baithain gay kisii din
ay jaan terii yaad k be-naam parindey
shaa_khon pay merey dard kii utarain gay kisii din
jaatii hai kisii jheel kii gehraa_ii kahaan tak
aankhon maen terii Duub k daikhain gay kisii din
Khushbuu sey bharii shaam men jugnuu k qalam sey
ik nazm terey vaastey likhain gay kisii din
soyain gay terii aankh kii khil_vat men kisii raat
saaye men terii zulf k jaagain gay kisii din
Khushbuu kii tarah ,asl-e-sabaa Khaak numaa sey
galiyon sey terey shehar kii guzrain gay kisii din
'Amjad' hai yahii ab keh kafan baandh k sar par
us shehar-e-sitam_gaar men bhi jayain gay kisii din...!!!
No comments:
Post a Comment