Tuesday, 24 April 2012

Khawab Nagar Hai Aankhen Kholey Dekh Raha Huun

dekh rha huun dekh rha huun

Khawab Nagar Hai Aankhen Kholey Dekh Raha Huun
Us Ko Apni Janib Aata Dekh Raha Huun

Kisi Ki Aahat Qariya Qariya Phail Rahi Hai
Deewaaron K Rang Badaltey Dekh Raha Huun

Kon Merey Jaadu Sey Bach Kar Ja Sakta Hai!
Aaina Huun, Sab K Chehrey Dekh Raha Huun

Darwaazey Par Tez Hawaaon Ka Pehra Hai
Ghar K Andar Chhup K Saaye Dekh Raha Huun

Manzar Manzar Weeraani Ney Jaal Taaney Hain
Gulshan Gulshan Bikhrey Pattey Dekh Raha Huun


Manzil Manzil Haul Mai Doobi Aawazein Hain
Rasta Rasta Khauf K Pehrey Dekh Raha Huun

Shehr-E-Sangdil Mai AMJAD Har Raastey Par
Aawazon K Pathar Chaltey Dekh Raha Huun

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets