aaj bohat dinon baad suni hai barish ki awaaz
aaj bohat dinon baad kissi manzar nay rasta roka hai
rim jhim ka malboos pehan kar yaad kissi ki aayee hai
aaj bohat dinon baad achanak aankh yun hi bhar aayee hai
aankh or manzar ki wus'at men chaaron janib barish hai
aur barish men door kahin ek ghar hai jis ki
aik aik eent par teray meray "khawab" likhay hain
or is ghar ko janay wali kuch galiyan hain
jis men hum donon kay saaye tanha tanha bheeg rahay hain
darwazay par qufl para hai or dareechay soonay hain
deewaron pay jammi hui kaaii men chup kar
mousam hum ko dekh rahay hain
kitnay badal hum donon ki aankh say ojhal
baras baras kar guzar chukay hain
aik kammi si aik nammi si
chaaron janib phail rahi hai
kai zamanay aik hi pal men
baaham mil kar bheeg rahay hain
andar yaadain sookh rahi hain
bahir manzar bheeg rahay hain...
No comments:
Post a Comment