Tuesday, 17 April 2012

Ab wahi harf-e-junun sab ki zubaan thehri hai



Ab wahi harf-e-junun sab ki zubaan thehri hai
Jo bhi chal nikli hai woh baat kahan thehri hai

Aaj tak shaikh k ikraam men jo shay thi haraam
Ab wahi dushman-e-deen raahat-e-jaan thehri hai

Hai khabar garam keh phirta hai gurezaan naaseh
Guftagu aaj sar-e-kuu-e-butaan thehri hai

Hai wahi aariz-e-laila wahi shirin ka dahan
Nigah-e-shauq gharri bhar ko yahan thehri hai

Wasl ki shab thi to kis darja subak guzri hai
Hijr ki shab hai to kaya sakht garaan guzri hai

Bikhri ek baar to haath aaii kab mauj-e-shamim
Dil sey nikli hai to kab lab pey fughaan thehri hai

Dast-e-sayyaad bhi aajiz hai kaf-e-gulchin bhi
Buu-e-gul thehri na bul-bul ki zubaan thehri hai

Aatey aatey yun hi dam bhar ko ruki hogi bahaar
Jaatey jaatey yun hi pal bhar ko khizaan thehri hai

Ham ney jo tarz-e-fughaan ki hai qafas men ijaad
"Faiz" gulshan men wo tarz-e-bayaan thehri hai


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets