Friday 11 November 2011

Us raat aasmaan pey taarey they is kadar




Us raat aasmaan pey taarey they is kadar
Dushwaar ho raha tha safar mahtaab ka
AankhoN meiN jhilmilaatey huway aaNsu’oN kay paar
Angraai ley key phail raha tha chahaar su
Ik bekinaar hijr ka dasht-e-chaman numa
Attki hui thi nakhl-e-tamanna ki shaakh par
Fasl-e-pareeda rang ki masli hui qaba
Ik ajnabi duwa

Khilney lagey they dast-e-hawa par khizaN key phool
Jaati hui bahaar ky tootey huway asool
Chehra azal ki aag tha aaNkheN abad ki dhool!

Us raat tootey huway taaroN ki goonj meiN
Ham kitni der chaltey rahay kuch pata nahi
Kab tak ham apney an-kahey lafzoN ki kirchiyaN
Farsh-e-hawa say chuntey rahey, kuch pata nahi

Shabnam key saath saath chamkey jo tamaam shab
Taarey they keh wo aks meray aaNsu’oN key they!
KyuN kurbatoN key shor meiN ghutney laga tha dam
Kismat key they keh halqey terey baazu’oN key they
Kuch pata nahi

Gard is qadar hey aaina-o-maah-o-saal par
KhaaboN key aks apney khad-o-khaal kho gaye
AaNkhoN key rang ley gai taaroN ki roshni
ChehroN key naksh rait ki tehreer ho gaye
Taktey they dil ki simt jo qarnoN ki oatt sey
Benaam khaahishoN key wo mosam badal gaye
Soorat gharoob ho gayee mehtaab dhal gaye
Us bekinaar hijr ka dhast-e-chaman numa
Timsaal-e-dasht-e-qarb-o-bala ban chuka hey ab
Taayer shaheed ho gaey, ashjaar jal gaye

Ye sach hey loh- e-waqt pey tehreer moaj-e-rang
Naqsh-o-nigaar-e-aab ki soorat hey barq-pa
Ik baar pul taley sey jo paani guzar gaya
Samjho keh mar gaya

Saahil ka jhaag ho key mitey ya keh rizq-e-abr
Aata nahi palat key ka
bhi, jo gaya — gaya
Lekin yeh kaya keh aaj bhi jis raat mehtaab
TaaroN key bekinaar meiN rasta na paa sakey
AaNkhoN meiN jilmilaatey huway aaNsu’oN key paar
Milti heiN is tarha sey zamaanoN ki sarhadeN
Chalta nahi pata
Ham peechey reh gaye heN keh aagey nikal gaye!


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets