Kuch to ay yaar ilaaj-e-ghum-e-tanhaai ho
Baat itni bhi na barh jaaye keh ruswaai ho
Doobney waaley to aankhon sey bhi kab nikley hain
Doobney k leay lazim nahin gehraai ho
Jis ney bhi mujh ko tamasha sa bana rakha hay
Ab zaroori hai wohi shakhs tmashaai ho
Main tujhey jeet bhi tohfey men nahi dey sakta
Chaahata yeh bhi nahi hoon tairi paspaai ho
Aaj to baz'm men har aankh thi pur'num jaisey
Daastaan meri kisi ney yahaan dohraai ho
Koi anjaan na ho shehr-e-mohabbat ka makeen
Kaash har dil ki har ik dil sey shanasaai ho
Yoon guzar jaata hay Imran terey koochey sey
Tera waaqif na ho jaisey koi saudaai ho
No comments:
Post a Comment