Sukoon bhi khawab hua,Neend bhi hai kam kam phir
Qareeb aaney laga dooriyon ka mausam phir
Bana rahi hai teri yad Mujh ko silk-e- kauhar
Piro gaee meri palkon pay aajj shabnam phir
Woh narm lehjey mai keh raha hai phir mujh sey
Chhirra hai pyar k komal suron mai madham phir
Tujhey manaauun keh apni Ana ki baat sunuun
Ulajh raha hai merey faisalon ka resham phir
na uski baat main samjhoon,na woh meri Nazren
Muaamlaat-e-zubaan ho chaley hain mubham phir
Yeh aaney wala naya dukh bhi us k sar hi gaya
chatakh gaya meri angashteri ka neelam phir
Woh aik lamha keh jab saarey rang aik huey
Kisi bahaar ney dekha na aisa sangam phir
Bohat,aziz hain meri Aankhen usey,lekin
Wo jaatey jaatey inhen kar gaya hai purnam phir
No comments:
Post a Comment