نیند تو خواب ہے اور ہجر کی شب خواب کہاں
اِس اماوس کی گھنی رات میں مہتاب کہاں
رنج سہنے کی مرے دل میں تب وتاب کہاں
اور یہ بھی ہے کہ پہلے سے وہ اعصاب کہاں
مَیں بھنور سے تو نکل آئی،اور اب سوچتی ہوں
موجِ ساحل نے کیا ہے مجھے غرقاب کہاں
مَیں نے سونپی تھی تجھے آخری پُونجی اپنی
چھوڑ آیا ہے مری ناؤ تہہِ آب کہاں
ہے رواں آگ کا دریا مری شریانوں میں
موت کے بعد بھی ہوپائے گا پایاب کہاں
بند باندھا ہے سَروں کا مرے دہقانوں نے
اب مری فصل کو لے جائے گا سیلاب کہاں
Neend to khawaab hai aur hijr ki shabb khawab kahan
Is amawas ki ghanni raat men mehtaab kahan
Ranj sehney ki merey dil men tab-o-taab kahan
Aur yeh bhi hai keh pehley sey wo asaab kahan
Men bhanwar sey to nikal aayi, aur ab sochti hoon
Mauj-e-saahil ney kiya hai mujhey gharqaab kahan
Mein ney sonpi thi tujhey aakhri poonji apni
Chorr aaya hai meri naao tah-e-aab kahan
Hai rawaa'n aag ka dhuwaan meri sharyaanon men
Maut k baad bhi ho paaye ga paayaab kahan
Band baandha hai saron ka merey dehqaanon ney
Ab meri fasal ko ley jaaye gA sailaab kahan
No comments:
Post a Comment