Koi hull aisa keh jis sey masla qaayam rahey
Khatam ho jaaye udaasi or fiza qaayam rahey
Dost ki ungli pakarr kar main pohanch hi jaaun ga
Qibla-e-aalam tera qibla-numa qaayam rahey
Is liye bhi chahta huun khair terey husun ki
Dost! teri shakal men shaan-e-Khuda qaayam rahey
Kaya tera ho kar yeh mumkin hai nigah-e-neem-baaz
Is jahan ko dekhney ka zaaviya qaayam rahey
Ye jo mitti ki terha hum ko bitha deta hai tu
Mosam-e-giriya! tera yeh silsila qaayam rahey
Kaya yeh mumkin keh ho jaaun terey qadmon ki khaak
Or dunya k liye meri anaa qaayam rahey
Ye mujhey tasleem mujh ko shayari aati nahi
Jo bharam sa ban gaya hai, Ay Khuda qaayam rahay
No comments:
Post a Comment