yeh kaya sitam hai keh ehsaas-e-dard bhii kam hai
shab-e-firaaq sitaaroN meN roshnii kam hai
ye kaisii mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqii meN
keh us k baad sey tuufaan-e-tishnagii kam hai
qariib-o-duur sey aatii hai aap kii aavaaz
kabhii bohat hai Gham-e-justujuu, kabhii kam hai
shauur-e-ishq ab aayaa hai apnii manzil par
huzuur-e-husn tamannaa-e-beKhudii kam hai
tamaam umr teraa intizaar kar leN gey
magar yeh ranj rahey gaa keh zindagii kam hai
uruuj-e-maah ko insaaN samajh gayaa lekin
hunuuz azmat-e-insaaN sey aagahii kam hai
na they bahaar-e-chaman ham magar yeh suntey haiN
hamaarey baad guloN meN shaguftagii kam hai
na saath deNgii yeh dam toRtii hu’ii sham’meN
naye chiraaGh jalaao keh roshnii kam hai
No comments:
Post a Comment