Jiss Jagah Teri Jafa Ki Intihaa Ho Jaye gi
Sabr Ki Meray Wahaan Say Ibtidaa Ho Jaye gi
Kaya Khabar Thi Zindagi Sarf-e-Duaa Ho Jaye gi
Unn Kay Paaney Ki Tamanna iltijaa Ho jaye gi
Ham Ko Ye Ma’aloom Na Tha Qasd-e-Safar Ke Saath Hi
Tum Badal Jaao gey, Duniya Bewafa Ho Jaye gi
Phool Sey Khushboo Urri To Uss Ko Andaza Na Tha
Woh Hawa K Khel Mein Khud Bhi Hawa Ho Jaye gi
Faasley Barhh Jayenge Youn Ek Zara Si Baat Per
Umer Bhar Ki Dostii Youn Bey Maza Ho Jaye gi
Koii To Umeed Ka Patwaar Dey do Haath Men
Warna Naaow Zindagani Ki, Fanaa Ho Jaye gi
Intezaar-e-Yaum- e-Aifaa- e-Ehad Hota Nahee!
Aap Aa jaayen,Qayamat Khud Bapaa Ho Jaye gi
No comments:
Post a Comment