yunhi to shaakh sey pattay gira nahi kartay
bicher kar log zyada jiya nahi kartay
jo aanay walay hain mausam unhein shumaar men rakh
jo din guzar gaye unn ko gina nahi kartay
na dekha jaan k uss ney..! koi sabab ho ga
issi khayyal sey hum dil bura nahi kartay
woh mil geya to kaya qissa e firaaq kahen
khushi k lamhon ko yun be maza nahi kartay
nishaat-e-qurb gham-e-hijar k ewaz mat maang
dua k naam pey yun bad dua nahi kartay
munafqat pey jinhein ikhtayyar hasil hai
woh arz kartay hein, tujh sey gilah nahi kartay
humaray qatal pey MOHSIN yeh pesh-o-pas kaisi
hum aisay log talab khoon baha nahi kartay
No comments:
Post a Comment