Tuesday, 17 January 2012

Tujh per koi ilzaam jo dhartey bhi to kesey?




Tujh per koi ilzaam jo dhartey bhi to kesey?
Hum ahed_e_mohabbat sey mukartey bhi to kesey?

Wo shakhs to yak-lakht he hat jata tha peechhey,
Hum toot k qadmon men bikhertey bhi to kesey?

Ilzaam yeh aata keh tujhey bhool gaye thay,
Ay dost! Tujhey yaad jo kertey bhi to kesey?

Kaya khaak muqaddar sey koi hum ko gila ho,
Bigrron k muqaddar thay, sanwartey bhi to kesey?

Mahroom he rehtey jo terey radd_e_amal sey,
Aey jaan! Terey pyaar men martey bhi to kesey?

Jeewan he guzaara tha thaperron men jo hum ney,
Hum ab kisi toofan sey dartey bhi to kesey?

Aik paaki_e_daaman pey sada naaz raha tha,
Dariya_e_mohabbat men utartey bhi to kesey?

Her roz ki zillat bhi gawaara to nahi thi,
Us raah sey hum roz guzartey bhi to kesey?

Jeeney ki saza deti hai, jeeney nahi deti,
Duniya! Tera tawaan jo bhartey bhi to kesey?

Bach ker na nikl paaye saraab e ishq sey un k,
Doobey thay samandar men, ubhartey bhi to kesey...!!!


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets