Likh Diya Apney Dar Pey Kisi Nay,
Is Jagah Pyaar Karna Manaa Hai
Pyaar Agar Ho Bhi Jaaye Kisi Ko
Iska Izhaar Karna Manaa Hai
Un Ki Mehfil Men Jab Koi Jaaye
Pehley Nazrein Woh Apni Jhukaye
Wo Sanam Jo Khuda Ban Gaye Hain
Unka Deedaar Karna Manaa Hai
Jaag Uthay To Aahen Bharein Gay
Husn Waalon Ko Ruswaa Karen Gay
So Gaye Hain Jo Furqat K Maarey
Un Ko Be'daar Karna Manaa Hai
Hum Nay Ki Arz Ay Banda Parwar
Kiyun Sitam Dhaa Rahay Ho Yeh Hum Per
Baat Sun Ker Hamari Wo Bolay
Hum Say Taqraar Karna Mana Hai
Saamnay Jo Khula Hai Jharoka
Kha Na Jaana Qateel Unka Dhoka
Ab Bhi Apnay Liye Us Gali Men
Shouq-E-Deedaar Karna Manaa Hai
Likh Diya Apney Dar Pay Kisi Nay
Is Jagah Pyar Karna Mana Hai ...