Sunday 23 October 2011

meray dil say lay kar teray sang e dil tak


meray dil say lay kar
teray sang e dil tak
gumaan ki chattaan
aur
haqeeqat ki sill tak
jo aankhon say meri 
teray kaalay til tak
buuna tha muhabbat ki makrri nay jaala
zamaanay kay haathon nay
woh taar e ulfat
yahaan say wahaan tak
sabhi noch daala
                         
to dono he dil ab rehaa ho chukay hain
chattaan aur sill bhi juda ho chukay hain
woh aankhen woh til bhi fanaa ho chukay hain
woh chaahat najanay kidhar ko gaee hai
woh makrri bhi shayad kahin kho gaee hai

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets