aasman kay rangon men rang hai shahaabi sa
dhayaan men hai chehra aik mahtaabi sa
manzaron nay kirnon ka perhan jo pehna hai
mein nay is ka rakha hai naam aaftabi sa
tum ajeeb qatil ho,rooh qatl kartay ho
daaghtay ho phir maatha chaand ki rakaabi sa
kon keh gaya hai moat tootnay say aati hai
gul nay to bikhar kay baagh kar diya gulabi sa
phir hawa chali shayad bhoolay bisray khavabon ki
dil men uth raha hai kuch shoq iztarabi sa
talkhiyon nay phir shayad ik sawal dohraya
ghul raha hai honton men zaaiqa jawabi sa
harf pyar kay saray aa gaey thay aankhon men
jab liya tha haathon men chehra woh kitabi sa
boond boond hoti hai rang o noor ki barkha
jab bhi mosam aaya hai nainaan men sharabi sa
No comments:
Post a Comment