kamaal-e-zabt ko main khud bhi to azmaaun gi
Main apnat haath say uski dulhan sajaaun gi
supurd kar kay usay chaandni kay haathon
main apnay ghar kay andheron ko laut aaun gi
badan kay karb ko woh bhi samajh na paye ga
main dil main roungi aankhon main muskraaun gi
woh kaya gaya keh rafaqat kay saray lutf gaye
main kis say rooth sakuun gi kisay manaaun gi
woh eik rishtaa-e-benaam bhi nahiin laikin
main ab bhi us kay ishaaron pay sar jhukhaaun gii
bichaa diya tha gulabon kay saath apna wajood
woh sou kay uthay to khwaabon ki raakh uthaaun gi
ab us ka fan to kisi aur say mansoob hua
main kis ki nazam akelay main gungunaaun gi
jawaaz dhoondh raha thaa nayee mohabbat ka
woh keh raha tha keh main us ko bhool jaaun gi
samaaton main ghanay jangalon ki saansein hain
main ab kabhi teri awaz sun na paaun gi
No comments:
Post a Comment