Raah-e-Wafa main har su kaantay,Dhoop Ziyada sayye Kam,
Magar is raah per chalnay walay khush hi rehay,Pachtaye kam,
Umar guloon ki 2 din jis main yeh bhi Qayyamat beet gai,
Keh dast-e-Hawas nay nochay ziyada,Shaakhon per murjhaey kam,
Aah! yeh zaalim talkh haqeeqat,Jitnay bhi safeenay gharq huay,
Aksar apni hi moaj main doobay , Toufaan say takraaye kam,
Dheemi dheemi chaal say hum ko yeh Rahguzar tai kerni hai,
Naaz tha jin ko apni taiz ravi per , Manzil tak woh aaye kam,
Mujh say shikayat Duniya bhar ko,Shiddat-e-gham main ronay ki,
mujh ko is ka rona keh aankh main ansoo aaye kam,
Ishq addab ka naam hai kaifi,Yeh bhi addab main shaamil hai,
Jis ki muhabbat dil main bassi ho us ki gali main jaye kam,
No comments:
Post a Comment