Monday 31 October 2011

na wo sin hay fursat-e-ishq ka , na wo din hain kashf-e-jamal kay



na wo sin hay fursat-e-ishq ka , na wo din hain kashf-e-jamal kay
magar ab bhi dill ko jawaaN rakhen wohi shobday khad-o-khal kay

yeh jo gard baad-e-hayat hay , koi iss ki zad say bacha nahi 
magar aaj tak teri yaad ko men rkahon sanbhaal sanbhaal kay

mein ameen-o-qadr shnaass thaa , mujhay sans sans ka pass tha
yeh jabeeN pay hein jo likhay hoey , yeh hisaab hein mah-o-sal kay

wo kabhi shafaq ka fasooN kahen , kabhi gull kahen kabhi khooN kahen 
keh hein meri subh-e-urooj mein abhi rang sham-e-zawaal kay

meri hasratooN ko haraa rakhay , meri kash-e-jaaN ko bhara rakhay 
yeh yaqeeN , kuch pay khulen gay darr kisi roz bash-e-shumaal kay

shab-e-tar say na dara mujhay , ay khuda jamal dikha mujhay 
keh teray saboot hein beshtar , teri shaan jah-o-jalal kay

koi kohkan ho k qais ho , Meeer ho kay Nadeeem ho 
sabhi naam ek he shakhs kay , sabhi phool ek he daal kay

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets