Monday 31 October 2011

naqsh-e-Khayaal dil se miTaayaa nahiin hanoz



naqsh-e-Khayaal dil se miTaayaa nahiin hanoz
bedard main ne tujhako bhulaayaa nahiin hanoz

[hanoz=as yet/still]

vo sar jo terii raahaguzar me.n thaa sajdaa-raiz
main ne kisii qadam pe jhukaayaa nahiin hanoz

[sajdaa-rez=bowed]

maharaab-e-jaa.N men tuu ne jalaayaa thaa Khud jise
siine kaa vo chiraaG bujhaayaa nahiin hanoz

[maharaab=arched gateway (maharaab-e-jaa.N would imply in the inner heart)]

behosh hoke jald tujhe hosh aa gayaa
main badanasiib hosh men aayaa nahiin hanoz

mar kar bhii aayegii ye sadaa qabr-e-"Josh" se
bedard main ne tujhako bhulaayaa nahiin hanoz

[sadaa=voice/call; qabr=grave] 




No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets