Saturday 1 December 2012

Mujhey mila to girift-e-shabb-e-malaal mai tha



Na baab-e-harf-o-sada mai, na maah-o-saal mai tha
jawaab jiss ka nahi tha, woh uss sawaal mai tha
main zindagi ki tarah uss ki baat baat mai thi
woh roshni ki tarah, meray khad-o-khaal mai tha
yeh harf harf mai khusbu, yeh roshni ka hunar
mera to kuch bhi nahi, sab teray jamaal mai tha
jo muskura kay judai ki baat karta tha
mujhey mila to girift-e-shabb-e-malaal mai tha
yeh log yun to nahi thay jo ab zawaal mai hain
yeh shehar aisa nahi tha keh jab kamaal mai tha
keh manzaron mai jo manzar thay woh khulay mujh par
yehi hunar to meri wus’at-e-khayaal mai tha
andhairi raat mai jaisay chiraagh jal utthain
yeh kaya tilism teray ism-e-baymisaal mai tha




No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets