Sakhawat ka namood-afroz manzar he nahi aaya
Sakhi bethay rahay koi gada'gar he nahi aaya
Ye socha tha teri khaatir koi moti nikaloon ga
Main jis rastey men tha us men samandar he nahi aaya
Pehan kar aainay phirti rahi dewangi apni
Tamanna thi bohat jis ki wo pather he nahi aaya
Bharee bailain, jharray pat’tey, lagay jaalay dareechon per
Makeen aisaa gaya ghar sey palat kar he nahi aaya
Chamak jis ki bula laiti uqaabon ko nashay’mun sey
Fizaaon men koi aisa kabooter he nahi aaya
Dafeneon ki tarha dil men khazanay rah gaye saaray
Samandar kaya karay koi shana’war he nahi aaya
Diya he jab nahi ho ga hawa kis ko bhujaa’ey gi
Chiraagh e raah, main ab kay jala ker he nahi aa’ya
No comments:
Post a Comment