Thursday 20 December 2012

Junoon e ishq k hotay hain mukhtalif aadaab


Wo aainay ko bhi hairat mai daal daita hai
kisi kisi ko Khuda yeh kamaal daita hai

ajeeb shakhs hai, milta hai kutch nahi kehta
jawab sab ko magar hasb e haal daita hai

baraa e naam bhi jis ko wafa nahee'n aatii
wo sab ko apni wafa ki misaal daita hai

junoon e ishq k hotay hain mukhtalif aadaab
kisi ko hijr kisi ko wisaal daita hai

tamaam umr bhi jin ka jawab mil na sakay
wo imtehaan mai aisay sawaal daita hai

yeh wo hunar hai jo harr shakhs ko nahi aata
wo aansuo'n ko tabassum mai dhaal daita hai

ta'alluq apna hai EJAZ uss qabilay sey
bhalaai karr k jo darya mai daal daita hai

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets