tamaam shab yun hi dekhain gi soo e dar aankhain
tujhey ganva k na soyen gi umr bhar aankhain

tuloo e subah sey pehley hi bujh na jaayen kahin !
yeh dasht e shab men sitaron ki humsafar aankhain

sitam yeh kam to nahi dil gariftagi k liye !
main shehar bhar men akaila, idher udher aankhain

shumaar uski sakhavat ka kaya karain keh vo shakhs
chiraag baant'ta phirta hai chheen kar aankhain

voh paas tha to zamaney ko dekhti hi na theen
bicherr gaya to huyeen phir sey dar'badar aankhain

abhi kahan tujhey pehchan'ney ki zid kijey
abi to khud se bhi thehri hain bey'khaber aankhain

main apney ashak bacha luunga kisi tarha Mohsin ?
zamana sang ba'kaf hai to sheeshagar aankhain