Jo khayaal thay na qayaas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye
Jo mohabbaton ki asaas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye
Jinhain maanta hi nahin yeh dil, wohi loag merey hain hamsafar
Mujhey har terha sey jo raas thay, wohi loag mujh sey bicharr gaye
Mujhey lamha bhar ki rifaqaton k saraab bohat satayen gey
Meri umr bher ki jo pyaas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye
Yeh jaal sarey hain aarzi, yeh gulaab sarey hain kaghzi
Gul-e-aarzu ki jo baas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye
Jinhain ker saka na kqabool main, wohi shareek-e-rah e safer huey
Jo meri talab meri aas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye
Meri dharkanon k kareeb thay, meri chah thay mera khawab thay
Wo jo roz-o-shab meray pass thay, wohi loag mujh sey bichar gaye
No comments:
Post a Comment