Thursday 6 October 2011

Agar usko rula main doon

Agar usko rula main doon
Umr bhar k liye bhula main duun

Raahon main chhor k us ko
Hijar say us ko mila main duun

Usay mujrim bana kar ek din
Koi dard, ik saza main doon

Usay naey zakhm day kar
Us k dard ki na dawa main doon

Aisa karna to kabhi mumkin nahi
To acha hai usay ab ganwa main doon

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets